Jaa Zindagi Madinay Se Jhoonkay Hawaa K Laa

 

h

Jaa Zindagi Madinay Se Jhoonkay Hawaa K Laa,

Shayad ‘HUZOOR’ Hum Se Khafa Hean, Unhean Manaa K Laa.

 

Kuch Hum Bhi Apna Chehra-e-Baatin Sanwaar Lean,

‘ABU BAKAR’ Se Aaina Ishq-o-Wafaa Ka Laa.

 

Duniya Bohat Hi Tang Musalman Pe Hogai,

‘FAROOQ’ K Zamanay Ka Naqsha Utha K Laa.

 

Mehroom Kar Diya Humean Jin Se Nigah Ne,

‘USMAN’ Se Wo Zevar Sharm-o-Hayaa Ka Laa.

 

Maghrib Mae Maara Na Phir Aey Gadaa-e-Ilm,

‘Darwaza-e-ALI’ Se Ye Khairaat Jaa K Laa.

 

Baatil Se Dabb Rahi Hy Phir Ummat ‘RASOOL’ Ki,

Manzar ‘HUSSAIN’ Se Kuch Karbala Ka Laa.

 

Shariqa Ahmed
Twitter: @shariqa_ahmed

Leave a comment